IKHTIYARATE MUSTAFA ‎ﷺ ‏

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 IKHTIYARATE MUSTAFA ﷺ 🥀*



*✔️Hadees No. 3*
 
✏️ Hazrat Ameere Muaaviya رضي الله عنه Ne Logo ko khitab karte hue farmaya ki Huzoor ﷺ ko maine ye farmate hue suna hai ki Allah Ta'ala Jis se bhalai ka irada farmata hai usko deen me samajh Ataa farmata bai aur Beshaq Main Bantne Wala hu aur Allah Ta'ala Dene wala"
 
*📚 Sahih Bukhari jild 1 Safa 16*

👉 Is Hadees shareef ko padh kar khub Roshan ho gaya ki jo kuch jis ko Allah Ta'ala Ataa Farmata hai wo Sab Huzoor ﷺ Taqseem farmate hai aur wo aap ki chokhat se milta hai.
👉Jo log Huzoor ﷺ ki shaan ghatate, unhone is Hadees me ye baat paida ki hai ki choonki Ye Hadees Ilm ke bayan me hai isse Maloom hota hai ki Huzoor ﷺ sirf Ilm Bantte hai aur Kuch Nahi. To Aise logo se ye Maloom kiya jaye ki kya Woh ye kahne ki Zurrat karenge ki Khuda E Ta'ala bhi Mazz'Allah Sirf Ilm Ata Farmane Par Qudrat Rakhta hai aur kisi par nahi. Kyunki is Hadees me Huzoor ﷺ Ko Bantne Wala aur Allah Ta'ala ko ataa farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor ﷺ ko bantne me sirf Ilm Par ikhtiyar hai to Allah Ta'ala.ko bhi Maaz'Allah Sirf Ilm dene Wala Kahna padega . 
MAAZ'ALLAHI RABBUL AALAMEEN
✔Hadees Shareef ke mana yahi hai ki jo kuch jis kisi ko Allah Ta'ala ataa farmata hai is sab ke taqseem karne wale ﷺ hai aur aap Ata-E-Ilahi ka waseela hai .
↪Bukhari shareef hi me dusri jagah isi mafhoom wali ek hadees is tarah marwi hai Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya , 
"Main bantne wala hu , Khazanchi Hu aur Allah ta'ala Ataa Farmane Wala hai "

*📚 Bukhari Jild 1 safa 439*

🌴 Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat-ti Hai Qaunain me Ne'amat Rasoolullah ﷺ ki 🌴



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ