IKHTIYARATE MUSTAFA ﷺ
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 IKHTIYARATE MUSTAFA ﷺ 🥀* *✔Hadees No. 20* ✏️Hazrate Bara'a Farmate hai ki mere ek Mamu jinka naam Abu Darda tha unhone Eid ki Namaz se pehle Qurbani kar di to Unse Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya Tumhari wo Qurbani to gosht ho gai. ( Yaani Qurbani ka sawab nahi milega ) to unhone ne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ mere paas ek palaa hua 6 Maah ka bakri ka baccha hai uski Qurbani kar du ? Huzoor ﷺ ne irshad farmaya iski Qurbani kar do . Lekin ye Ijazat sirf Tumhare liye hai . Tumhare Alawa kisi aur ke liye 6 Maah ka Bakri ka baccha kaafi nahi hai . 📚 Bukhari Jild 2 Safa 833 👉 Yani Huzoor ﷺ ne apne Khudadad Ikhtiyarat se janab Abu Darda ke liye sirf 6 maah ke bakri ke bache ki Qurbani jayaz farma di. Lehaza Manna padega ki Beshaq Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko Mukhtar bana kar bheja hai majboor nahi . ▶ Isse Ye bhi pata chalta hai ki Rasoolullah ﷺ sirf Kanoon Janne wale nahi Balqi Kanoon Banane wale bhi hai ... 🌴Bakhuda Khuda ka yahi hai ...