IKHTIYARATE MUSTAFA ﷺ
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 IKHTIYARATE MUSTAFA ﷺ 🥀*
*✔Hadees No. 20*
✏️Hazrate Bara'a Farmate hai ki mere ek Mamu jinka naam Abu Darda tha unhone Eid ki Namaz se pehle Qurbani kar di to Unse Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya Tumhari wo Qurbani to gosht ho gai. ( Yaani Qurbani ka sawab nahi milega ) to unhone ne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ mere paas ek palaa hua 6 Maah ka bakri ka baccha hai uski Qurbani kar du ? Huzoor ﷺ ne irshad farmaya iski Qurbani kar do . Lekin ye Ijazat sirf Tumhare liye hai . Tumhare Alawa kisi aur ke liye 6 Maah ka Bakri ka baccha kaafi nahi hai .
📚 Bukhari Jild 2 Safa 833
👉 Yani Huzoor ﷺ ne apne Khudadad Ikhtiyarat se janab Abu Darda ke liye sirf 6 maah ke bakri ke bache ki Qurbani jayaz farma di. Lehaza Manna padega ki Beshaq Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko Mukhtar bana kar bheja hai majboor nahi .
▶ Isse Ye bhi pata chalta hai ki Rasoolullah ﷺ sirf Kanoon Janne wale nahi Balqi Kanoon Banane wale bhi hai ...
🌴Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi Mafar Maqar
Jo wahaan se ho yahin aake ho jo yahan nahi to wahan nahi🌴
Part End.....
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें